Sunday, March 29, 2009

Collection of Good Shayri websites

http://www.learningurdu.com/viewverses.asp?word=Neend

Saturday, July 26, 2008

Waqt to diya hota..

Mom ko pighalne ka,
Suraj ko dhalne ka,
Yun gir ke sambhalne ka,
Sambhal ke phir chalne ka,
Teri yaad ko dil se nikalne ka,
Hawaaon ko rukh badalne ka,
Khuda ko meri fariyaad sunne ka,
Dil main dabbi ek baat kehne ka,
Aaiene ko pathar banne ka,
Pathar pe kaayee jamne ka,
Aankhon ko meri khulne ka,
Saanson ko meri rukne ka,
Zindagi ko maut se milne ka,
Waqt to diya hota..

Duniya kya jaane

Hum to apne anssuon ko chupaaye baithey they,
Kambakht duniya ne humein pathardil keh diya..

Saturday, February 09, 2008

"Cute one" as someone said..

Harkaton se to bacche lagte ho,
Akal ke ekdum kacche lagte ho,
Tang tumhe hum isliye karte hain,
Kyunki roothey huey tum bade acche lagte ho..

Saturday, January 19, 2008

Only the person to who this is dedicated to can knw wat this means

Soch raha hoon aankh main apne aaj hai kaisi nammi,
Dil hum apna de nahi paaye, pyaar ki to naa thi kammi..

Tuesday, May 01, 2007

Read it fast.. its fun.. enjoy!

Chotti si kahani hai, Sunani moonh zabaani hai,
ek ladka hai jo raja hai, ek ladki hai jo rani hai,

Ladka uspe marta tha, kehta tum ho sabse achhee,
tum sa is duniya main, koi nahin hai sachee

Ladke ne ishq kiya, dosti maangi ladki
Ladke ne izhaar kiya to uspe ladki bhadki.

Kuch din main woh bichad gaye,
Beetey lamhein pichad gaye

Woh jo pal bitaye they,
Sapne jo sajaye they,

Ek pal main woh choor huey
Saare shikwe door huey

Kya aati hai usko yaad,
Ladke ke jaane ke baad?

Kya tarasta hai uska dil,
Kabhie to mujhse aa kar mil

Laut aaye phir woh Shaam,
Zubaan pe aaye phir woh naam?

Kaisa ajab yeh naata hai,
Koi aur na ab to bhaata hai.

Par kya unki bhi koi story thi
Ya sirf khwabon ki lori thi?

Ab tum batlao yeh padhne waale,
Barsat aayegi ya sirf they baadal kaale?

Inka kya kuch anjaam hoga,
Ya guzra hua, gumnaam hoga?

Tum sab main ek woh ladki hai, tum sab main ek woh ladka hai
Upar wale ne pyaar banaya hai, tabhie to yeh shola bhadka hai

Har dil ki ek jodi hai, jinko khuda ne tod diya hai,
Tukade baatein hai alag alag, bas unka milna humpe chod diya hai...

Chotti si kahani hai, Sunani moonh zabaani hai,
ek ladka hai jo raja hai, ek ladki hai jo rani hai..

Little Beauties

Tere hoth hain pankhuriyan bheege gulab ki,
teri baatein nasha dein, zaroorat nahin sharab ki,
teri muskurahat par heera sharma jaaye,
teri saans sheet leher ko garma jaaye.
tere gaalon main moam ka ehsaas hai,
teri adda pe to raja bhi daas hai,
teri julfein girti hain to sheetal jharne ki tarah,
tera roop hai pariyon ke jalne ki wajah,
tera badan hai sangemarmar ka mahal,
tere charchon ki hai chaaron taraf pahal,
teri aawaaz main koyal ki madhurta niraali,
tere haathon ki mehendi main suraj ki lali,
tere kadmon ki aahat ban jaaye sangeet,
teri angdaayee bana de har din navneet,
tere pairon ke nishaan se hai ghar ek mandir,
teri payal ki thirkan se dhadakta hai har dil,
teri maang hai raah vaadiyon ki,
teri bindiya hai shobha aanganon ki,
tere sparsh main leen ho kar ban jaaye koi jogi,
teri chaal kissi hirni se kam to naa hogi,
tera kajal raat se bhi gehra hai,
teri palkon ka har dil pe pehra hai,
teri aankhon main khwabon ka samandar hai,
jisme main sirf apna chehra pata hoon!

Tuesday, February 20, 2007

Vij's reply to the previous shayri

Bina sawaalon ke milte nahin jawaab
Chun lo koi bhi pal, izhaar ka har mauka hai nayaab
Dekhte rahe yun hi agar khamoshi main khwaab ..
To phir zindagi bhar lukhe hi reh jaoge janaab!

Wednesday, February 14, 2007

Valentine's Day 2007

Dil ka dard hai jo jaata nahin,
Izhaare ishq hai jo aata nahin,
Log kehte hain nazron ke ishaaron ko samjho,
Par khamoshi ki zabaan unhe koi samjhata nahin...