Tuesday, May 01, 2007

Read it fast.. its fun.. enjoy!

Chotti si kahani hai, Sunani moonh zabaani hai,
ek ladka hai jo raja hai, ek ladki hai jo rani hai,

Ladka uspe marta tha, kehta tum ho sabse achhee,
tum sa is duniya main, koi nahin hai sachee

Ladke ne ishq kiya, dosti maangi ladki
Ladke ne izhaar kiya to uspe ladki bhadki.

Kuch din main woh bichad gaye,
Beetey lamhein pichad gaye

Woh jo pal bitaye they,
Sapne jo sajaye they,

Ek pal main woh choor huey
Saare shikwe door huey

Kya aati hai usko yaad,
Ladke ke jaane ke baad?

Kya tarasta hai uska dil,
Kabhie to mujhse aa kar mil

Laut aaye phir woh Shaam,
Zubaan pe aaye phir woh naam?

Kaisa ajab yeh naata hai,
Koi aur na ab to bhaata hai.

Par kya unki bhi koi story thi
Ya sirf khwabon ki lori thi?

Ab tum batlao yeh padhne waale,
Barsat aayegi ya sirf they baadal kaale?

Inka kya kuch anjaam hoga,
Ya guzra hua, gumnaam hoga?

Tum sab main ek woh ladki hai, tum sab main ek woh ladka hai
Upar wale ne pyaar banaya hai, tabhie to yeh shola bhadka hai

Har dil ki ek jodi hai, jinko khuda ne tod diya hai,
Tukade baatein hai alag alag, bas unka milna humpe chod diya hai...

Chotti si kahani hai, Sunani moonh zabaani hai,
ek ladka hai jo raja hai, ek ladki hai jo rani hai..

0 Comments:

Post a Comment

<< Home