Wednesday, September 20, 2006

Sirf Tum (This ones for Vij..)

Peepal ki chaon main,
Gori ke gaon main,
Saagar ki lehron main,
Undekhe chehron main,
Baadal ki gadgadahat main,
Koyal ki chehchahat main,
Phoolon ke baag main,
Andheron ke chiraag main,
Heere ki damak main,
Aankhon ki chamak main,
Deewanon ki basti main,
Bahaaron ki masti main,
Chaand ke guroor main,
Hothon ke suroor main,
Kadmon ki aahat main,
Manzil ki raahat main,
Har ehsaas main,
Har andaaz main,
Meri aanhon main,
meri baahon main,
Meri baaton main,
Meri sanson main,
Mujhe ek hi chehra dikhta hai.. jo ho tum, sirf tum, sirf tum!

Chahat ka junoooon..

Teri ek hansi ke liye main jaan loota doonga,
Teri khawishon ke raaste se apne armaan hata doonga,
Ek baar aazmaa kar to dekh le,
Main tere liye insaan to kya, bhagwan mita doonga.

To the Harsh 'Dost'

Kehte hain dost, ki tu to haath main jaam kabhie bharta hi nahin
Ek kash zindagi ki patang uda de, par tu iski dor pakadta hi nahin
Humne kaha, hum bhi chakh chuke hote in nashe ke pyaalon ko
Par kambakht unki mohabbat ka nasha kabhie utarta hi nahin!

(can u find the deeper meaning)

Doston se milta hoon, to teri wafaayee yaad aati hai,
Bheed main jo ghulta hoon, to meri tanhaayee yaad aati hai,
Moam ke is pathar ko shamma bana daala hai,
Raah ke akelepan main bhi, teri parchayee saath aati hai.

Dil ki kashti (Dedicated to ankur)

Dil ki kashti ko sagar main utaar diya hai,
Har toofan se ladne ke liye tayyar kar liya hai,
Maana is samandar ko kissi ne naa paar kiya hai,
Magar itna keh sakta hoon, ki maine bhi pyaar kiya hai...

Karwaan.. (Dedicated to karnika)

Zindagi ke kaise yeh imtihan,
Hansi main bhi hota hai dard bayaan,
Sun kar pyaar ke do bol kissi se, ho gaye hum us par kurbaan,
Zindagi bhar ki aas laga baithe they hum jahan,

Woh nikla mehez ek guzarta karwaan!

Apna zamaanaa!

Hum to pal ke panchee hain,
Humein kissi daal pe rukana nahin,
Deewanon ki tarah chalte hain, apna koi thikana nahin,
Naa koi apna hai, par phir koi bhi begana nahin,
Bahut se mil jayenge zindagi main waisey to,
Lekin apne bina zinda zamana nahin!